( i dont believe tht i hav written dis )
Sawan ke badal ki garjan sunkar,
Mere dil ki dhadkan boli….
Arey! Jo baraaste hain, woh garajte nahi,
Yun doorsoo ke jakhmo par aise hanste nahi.
Yeh sunkar badal bola…..,
Main janta hoon ke tu bhi din raat tadapti hai,
Aur iss tanha dil main dard bankar dhadakti hai.
Main bhi nahi chahta ke, apne aansoon pe jaun,
Aur apne dil ka haal kisi ko na bataun…
Mujhe to bus ek aisi jagah ki talaas hai,
Jahan par keval bus pyaas hi pyaas hai.
Bus wahin ja kar jamkar baras jaungaa,
Aur apne dil ka haal roo roo kar batunga.
Mere to aansoon bhi logo ki pyaas bujhate hain,
Barish main bheegne ko bachee daude chale aate hain.
Bus unhi ho hansta khelta dekhkar khush ho jata hoon,
Isiliyee har saal sawan bankar chalaa aata hoon.
Bus isileye sawan bankar chalaaa aata hoon…
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment